Tuesday, September 16, 2008

Murali Bajake Mohana Kyon Kar Liya Kinara

Murli Bajake Mohana, Kyon Kar liya kinara..
Apno se hain kaisa???
Apno se hain kaisa???Vyavhar tumhara..
Murali Bajake Mohana Kyon Kar Liya Kinara...

Dhunda gali gali mein,
khoja dagar dagar mein...
Man me yahi lagan hain..
Darshan mile tumhare...
Apno se hai kaisa,
vyavhar hain tumhara..
Murali Bajake Mohana Kyon kar liya kinara...

Madhuvan tumhi batao..
Mohan kaha gaya hain
Kaise julas gaya hain...
Komal badan tumhara...
Apno se hai kaisa, vyavhar hain tumhara
Murali Bajake Mohana Kyon Kar Liya Kinara...

Yamuna tum hi bato,
Chaliya kaha gaya hain
Tu bhi chali gayi hain,
Tu bhi chali gayi hain, behti hain neel dhara
Apno se hai kaisa vyavhar hain tumhara..
Murali Bajake Mohana Kyon Kar Liya Kinara...

Duniya kahe diwani, pagal kahe jamana.
Tumko na bhul jaana, humko nahi gavara.
Apno se hai kaisa, vyavhar hai tumhara..
Murali Bajake Mohana Kyon Kar Liya Kinara...

No comments: