Friday, January 18, 2008

Jaha Satsang Hota Hai Waha Par Nitya Jao Tum

(Sur: Baharo phool barsao, mera mehboob aaya hain)

Jaha satsang hota hai,
waha par nitya jao tum (2)

hume fursat nahi hai, yah kehkar mauka mat gavao tum,
waha par nitya jao tum
Jaha satsang hota hai……

Arre satsang karne kin a koi umr hoti hain
Amar yah deep hain jiski bujhti na jyot hoti hain
Isi satsang saagar mein, sada ghote lagao tum,
Waha par nitya jao tum..
Jaha satsang hota hai……

No comments: