Monday, January 28, 2008

Tera Kisne Kiya Shringar Savare

Tera kisne kiya, shringar Savare,
Tera kisne kiya shringar Savare,
Dulha sa lage hai dildar Savare, (2)

Mastak par ( ________ ) chandan kesar tilak lagaya,
Mor mukut maathe par kundal, itr bahut barsaya….(2)
(Ho) Mehakta rahe ye darbar Savare… (2)
Tera kisne kiya, shringar Savare

Baago se kaliya chun chun kar sundar har banaya,
Rahe salamat haath sada ho jisne tume sajaya,
Sajaaata rahe wo har bar saavare, (2)
Tera kisne kiya, shringar saavare


Bol Kanhaiya bol tujhe mein kaun sa bhajan sunao,
Aisa koi raag batade, tu nache mein gaao, (2)
Nachata rahu mein har bar saavare….(2)
Tera kisne kiya shringar saavare.

No comments: